atish-e-husn se ik aab hai ruḳhsaron men
ai tiri shaan ki paani bhi hai angaron men
dam nikal ja.ega ruḳhsat ka abhi naam na lo
tum jo uTThe to biTha dunga azadaron men
ja ke ab nar-e-jahannam ki ḳhabar le zahid
naddiyan bah ga.iin ashkon ki gunahgaron men
naubaten nala-e-ruḳhsat ka pata deti hain
matam-e-ishq ki avaz hai naqqaron men
mujh ko is dard ki thoḌi si kasak hai darkar
jo dava ban ke baTa hai tire bimaron men
be-talab us ne dikhaya ruḳh-e-raushan ‘muztar’
naam muusa ka nahin us ke talab-garon men
Leave a Reply