jab vo surat nazar nahin aati
kab miri aankh bhar nahin aati
ku-e-dil-dar se nasim-e-sahar
aati hai jab idhar nahin aati
kya hua soz-e-gham ki ashkon se
bu-e-dagh-e-jigar nahin aati
huur se kya milega dil vaa.iz
yaan tabi.at agar nahin aati
maut ko bhi ḳhabar nahin shayad
ki vahan se ḳhabar nahin aati
zindagi ya to hai vabal koi
ya mujhi ko ye kar nahin aati
shab-e-hijran vo shab hai jis ke ba.ad
ta-qayamat sahar nahin aati
shab-e-furqat ki dastan hai tavil
niind al-muḳhtasar nahin aati
hai tabi.at tiri rasa ‘mahrum’
tujh ko urdu magar nahin aati
Leave a Reply