hava ki halki si aahat pe yuun machal jaana
umid-e-vasl pe bismil ka phir sambhal jaana
na aa rahe the na aana tha aur na imkan tha
ye zoam-e-dil tha ya qismat ka yuun badal jaana
ye dil pe bojh hai dardon ka ya tiri yaden
ya ablon ka hararat se hai pighal jaana
tiri talash men uth uth ke pagalon ki tarah
shab-e-firaq men ghar se kahin nikal jaana
ye jante hain ki mumkin nahin tu laut aae
shiar-e-dil hai tiri yaad se bahal jaana
tiri umiid ka jab sar se uth gaya anchal
to fasl-e-gul men tha yaksar khizan men dhal jaana
abhi thi tere safine ki muntazir ‘kausar’
ajab laga tire sahil se yuun phisal jaana
Leave a Reply