ye hadsa bhi shahr-e-nigaran men ho gaya
be-chehragi ki bhiiḌ men har chehra kho gaya
jis ko saza mili thi ki jaage tamam umr
sunta huun aaj maut ki banhon men so gaya
harkat kisi men hai na hararat kisi men hai
kya shahr tha jo barf ki chaTTan ho gaya
main us ko nafraton ke siva kuchh na de saka
vo chahaton ka biij mire dil men bo gaya
marham to rakh saka na koi mere zaḳhm par
jo aaya ek nishtar-e-taza chubho gaya
ya kijiye qubul ki har chehra zard hai
ya kahiye har nigah ko yarqan ho gaya
main ne to apne gham ki kahani suna.i thi
kyuun apne apne gham men har ik shaḳhs kho gaya
us dushman-e-vafa ko dua de raha huun main
mera na ho saka vo kisi ka to ho gaya
ik mah-vash ne chuum li peshani-e-‘hafiz’
dilchasp hadsa tha jo kal raat ho gaya
Leave a Reply