bistar-e-marg par zindagī kī talab
jaise zulmat meñ ho raushnī kī talab
kal talak kamtarī jin kī taqdīr thī
aaj un ko huī bartarī kī talab
umr bhar apnī puujā karātā rahā
ab huī us ko bhī bandagī kī talab
chīḳhte the bahut ham har ik baat par
ho ga.ī ab magar ḳhāmushī kī talab
pyaas duniyā kī jis ne bujhā.ī sadā
us samundar ko hai tishnagī kī talab
chaar paise jo aa.e zarā haath meñ
un ko bhī ho ga.ī rahbarī kī talab
dekh kar ye numā.ish kī duniyā ‘asad’
ham ne mahsūs kī sādgī kī talab