• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Ho Taskin Jo Ho Teri Sukunat Dil Mein

Kya Ho Taskin Jo Ho Teri Sukunat Dil Mein

kya ho taskin jo ho teri sukunat dil men

rahe aghosh men ya pyaar ki surat dil men

maut chahun to karun soz-e-mohabbat ka ilaaj

kya rahega na rahegi jo hararat dil men

dil-nashin hai jo mujhe talib-e-izzat hona

chhup ke baiTha hai koi sahab-e-izzat dil men

dil ko sab log ye kahte hain ḳhuda ka ghar hai

main samajhta huun ki hai teri amanat dil men

sun raha huun vo ayadat ke liye aate hain

aaj hai pursish-e-amal ki haibat dil men

tauba tauba main samajhta tha ki dil hai betab

ḳhud vo betab hai jis ki hai sukunat dil men

dil men rahne ka tujhe haq to hai lekin ai shoḳh

kaash hoti tire chehre ki matanat dil men

jante hain miri be-rah-ravi ke asbab

mante hain mujhe yaran-e-tariqat dil men

Than ga.i thi tire aḳhlaq ki beja tarif

ab na aata to ye aa.i thi shararat dil men

hai abhi tak to faqat sikva-e-dushman ai dost

kahin paida na ho kuchh aur shikayat dil men

chahta huun jise ban jaa.e agar vo saaqi

baḌhti jaa.e havas-e-kausar-o-jannat dil men

zauq-e-didar bhi kya chiiz hai allah allah

meri ankhon men basarat hai basirat dil men

kaash min-jumla-e-azar-e-mohabbat nikle

kar-farma nazar aati hai jo quvvat dil men

hain abhi tak tumhen duniya ke maze yaad safi’

ashiqi karte ho rakh kar ye malamat dil men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Shab To Wo Yan Se Ruth Ke Ghar Ja Ke So Rahe

Bijli Kahin Girae Zamane Guzar Gae

ajiz-matvi

Ek Bar Apna Zarf-e-Nazar dekh Lijiye

Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-E-Fariyaad Nahin

poet

dil Mein Kisi Ko Rakkho dil Mein Raho Kisi Ke

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet