kar-farma phir mira zauq-e-ghazal-khvani hai aaj
phir nafas ka saz-e-garm-e-shoala-afshani hai aaj
phir nigah-e-shauq ki garmi hai aur ru-e-nigar
phir araq-alud ik kafir ki peshani hai aaj
phir mire lab par qaside hain lab-o-rukhsar ke
phir kisi chehre pe tabani si tabani hai aaj
husn is darja nashat-e-husn men duuba hua
ankhdiyan be-khud shamim-e-zulf divani hai aaj
larzish-e-lab men sharab-o-sher ka tufan hai
jumbish-e-mizhgan men afsun-e-ghazal-khvani hai aaj
vo nafas ki zamzama-sanji nazar ki guftugu
sina-e-maasum men ik-tarfa tughyani hai aaj
yaan ba-in aalim ghurur-e-yusufiyat bhi nahin
vaan zulekhai ba-azm-e-chak-damani hai aaj
vaan ishare hain bahak jaana hi aish-e-hosh hai
hosh men rahna yaqinan sakht nadani hai aaj
kashmakash si kashmakash men hai mazaq-e-ashiqi
kamran si kamran har sai-e-imkani hai aaj
husn ke chehre pe hai nur-e-sadaqat ki damak
ishq ke sar par kulah-e-fakhr-e-insani hai aaj
shauq se mauqa-shanasi ki tavaqqo bhi ghalat
main ne un ki shakl bhi mushkil se pahchani hai aaj
Leave a Reply