hai kyuun naql-e-makani ye hava-e-taza-tar kya hai
samajh men kuchh nahin aata idhar kya hai udhar kya hai
numud-e-ibtida kya intiha kya hai bashar kya hai
ye kar-e-naqsh-gar kyuun hai ye hairat ka safar kya hai
raza us ki to phir chubhta hua ye neshtar kya hai
badan kyuun hai hisar-e-ḳhauf men ankhon men Dar kya hai
jo sach puchho ye tasviren kisi ik kaifiyat ki hain
ḳharosh-e-naghma-zan kyuun hai sada-e-nauha-gar kya hai
na hona bhi hai hona be-makani la-makani hai
sar-e-kohsar ya farsh-e-zamin par huun ḳhabar kya hai
nahin bujhti shikam ki aag kar-e-be-sukuni men
sarir-o-taj-o-kishvar kya manal-o-mal-o-zar kya hai
jise na-ḳhub kahte hain usi ko ḳhuub kahte hain
tamiz-e-ḳhair-o-shar men nukta-e-sad-motabar kya hai
pari-timsal hain sub.hen gariban-chak hain shamen
talattuf hai ki mahshar jaane tasir-e-nazar kya hai
faqat ik lams jism-o-ruh ko shadab rakhta hai
hunar-mandon se puchho qand-lab men ye hunar kya hai
hari thiin khetiyan murjha ga.iin bad-e-bahari se
na jaane phuul se chehre ka mausam par asar kya hai
dam-e-nazzara us ne chupke chupke khol diin zulfen
mira ye puchhna hi tha ki naz-e-bahr-o-bar kya hai
‘amin-ashraf’ vo rahta hai kahin is shahr men lekin
mile koi to puchhun surat-e-divar-o-dar kya hai
Leave a Reply