• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kahta Hai Har Makin Se Makan Bolte Raho

Kahta Hai Har Makin Se Makan Bolte Raho

kahta hai har makin se makan bolte raho

is chup men bhi hai ji ka ziyan bolte raho

har yaad har ḳhayal hai lafzon ka silsila

ye mahfil-e-nava hai yahan bolte raho

mauj-e-sada-e-dil pe ravan hai hisar-e-zist

jis vaqt tak hai munh men zaban bolte raho

apna lahu hi rang hai apni tapish hi bu

ho fasl-e-gul ki daur-e-ḳhizan bolte raho

qadmon pe baar hote hain sunsan raste

lamba safar hai ham-safaran bolte raho

hai zindagi bhi TuuTa hua aa.ina to kya

tum bhi ba-tarz-e-shisha-garan bolte raho

‘baqi’ jo chup rahoge to uTThengi ungliyan

hai bolna bhi rasm-e-jahan bolte raho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mangna Kaam Mujh Sawali Ka

Zindagi Jaisa Lubhaungi Chali Jaungi

poet

Waqt Ka Kuchh Ruka Sa Dhaara Hai

poet

Zulf Teri Hui Kamand Mujhe

Jo Is Tarah Liye Phirta Hai Jaan Hatheli Par

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet