thoḌa sa aur mujh ko tu apne qarib kar
neki isi ka naam hai mere habib kar
kya kya nahin suna tire baare men aj-kal
uTh kar dikha dhamal ya kuchh to ajiib kar
pahle bhi muflisi ki huun sidra pe yaar main
daman chhuḌa ke aur na mujh ko gharib kar
manus ho chuka huun main is arize se ab
apna tujhe jo kaam hai ja ke tabib kar
deta huun vasta main tujhe panjatan ka aaj
ai zat-e-lam-yazl mere achchhe nasib kar
hijrat ke is azaab se ḳha.if nahin ‘sahar’
lekin nazar se duur ye mera raqib kar
Leave a Reply