
Hari Chand Akhtar
ji ko rog laga baiTha ji ke rog se marta huun
is men kisi se shikva kya apni karni bharta huun
tark-e-gunah ai va.iz-ji dil se nahin majburi hai
aap ḳhuda se Darte hain main duniya se Darta huun
duniya se kuchh faiz na tha duniya ko taj baiTha huun
allah se ummiden hain allah allah karta huun
duur to haT ja.un lekin fikr-e-mohabbat ne maara
behad nazuk rishta hai TuuT na jaa.e Darta huun
kavish-e-paiham aḳhir tak hasil-e-marg-e-mayusi
ye bhi koi jiina hai kis jiine par marta huun

Leave a Reply