jo mehndi ka butna mala kijiyega
pasine ko itr-e-hina kijiyega
sitam kijiyega jafa kijiyega
yahi hoga aur aap kya kijiyega
phadak kar nikal jaega dam hamara
qafas se jo ham ko riha kijiyega
jo kahta huun achchha nahin zulm karna
to kahte hain vo aap kya kijiyega
qayamat men didar ka kab yaqin hai
yunhi lan-tarani suna kijiyega
kaha hal-e-dil to vo ye kah ke utthe
main jaata huun baithe baka kijiyega
shahanshah kahte hain un ke gada se
hamare liye bhi dua kijiyega
gulon ka vahi pairahan hoga sahab
inayat jo apni qaba kijiyega
kinara bhala tum se ai bahr-e-khubi
dubone hi ko ashna kijiyega
munajjim ne haath un ke dekhe to bola
gulon ki qaba ko qaba kijiyega
miri jaan ke muddai aap honge
samaat agar muddaa kijiyega
bahut naz-parvarda hai dil hamara
zara lutf is par kiya kijiyega
na divana bante jo maalum hota
pari ban ke ham se uda kijiyega
buto barq hain dard-mandon ki aahen
khuda ke ghazab se dara kijiyega
bahut faiz bakhshi ka sunte hain shohra
hamari bhi hajat rava kijiyega
khuda ke liye mirza-‘mehr’-sahab
buton par kahan tak mita kijiyega
Leave a Reply