• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gali Ka Manzar Badal Raha Tha

Gali Ka Manzar Badal Raha Tha

gali ka manzar badal raha tha

qadim suraj nikal raha tha

sitare hairan ho rahe the

charagh miTTi men jal raha tha

dikha.i dene lagi thi ḳhushbu

main phuul ankhon pe mal raha tha

ghaḌe men tasbih karta paani

vazu ki ḳhatir uchhal raha tha

shafiq poron ka lams pa kar

badan sahife men Dhal raha tha

dua.en khiḌki se jhankti thiin

main apne ghar se nikal raha tha

za.iif ungli ko thaam kar main

baḌi sahulat se chal raha tha

ajiib hasrat se dekhta huun

main jin makanon men kal raha tha

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Tez Hawa Ke Jhonke Shab-Bhar Takraate Hain Pedon Se

abu-mohammad-wasil-bahraichi

dil Mein Un Ka Khayal Aata Hai

Main KHud Hi KHwab-E-Ishq Ki Tabir Ho Gaya

noor-jahan-sarwat

Sath Mere Apne Sae Ke Siwa Koi Na Tha

poet

Zindagi Mujhko Meri Nazron Mein Sharminda Na Kar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet