vaqt jaisa hai ba-har-taur guzar jaana hai
aaj jo zinda haqiqat hai kal afsana hai
kab jali sham-e-tamanna hamen kuchh yaad nahin
itna ma.alum hai jal kar use bujh jaana hai
meri vahshat ne abhi paanv nikale bhi na the
dil-e-be-tab ne zid ki mujhe ghar jaana hai
va agar bab-e-muravvat ko nahin hai hona
aaj hi kah den jo kal aap ko farmana hai
gardish-e-vaqt ka ye jabr hai shayad jo log
sub.h zinda hain magar shaam ko mar jaana hai
chashm-e-bina pe lagi tohmat nazzara yunhi
had-e-idrak talak tar-e-nazar jaana hai
gharq hona na kahin ḳhvab-e-faramoshi men
munh andhere hi tumhen ‘rahi’ agar jaana hai
Leave a Reply