tum ne puchha nahin kabhi ham ko
tum se ummid ye na thi ham ko
rote dekha mujhe to farmaya
aa na jaae kahin hansi ham ko
jis nazar se ki chahte the ham
tum ne dekha nahin kabhi ham ko
haae kahna kisi ka jaate hue
kijiye rukhsat hansi khushi ham ko
o javanon ki jaan ham se hijab
yaad hai teri kam-sini ham ko
haae kya bhole-pan se kahte hain
ghurti kyuun hai aarsi ham ko
muddaton men huzur-e-yar ‘sharaf’
aaj laai hai be-khudi ham ko
Leave a Reply