Farigh Mujhe Na Jaan Ki Manind-E-Subh-O-Mehr

farigh mujhe na jaan ki manind-e-subh-o-mehr

hai dagh-e-ishq zinat-e-jeb-e-kafan hunuz

hai naz-e-muflisan zar-e-az-dast-rafta par

huun gul-farosh-e-shokhi-e-dagh-e-kohan hunuz

mai-khana-e-jigar men yahan khaak bhi nahin

khamyaza khinche hai but-e-be-dad-fan hunuz

juun jaada sar-ba-ku-e-tamanna-e-be-dili

zanjir-e-pa hai rishta-e-hubbul-vatan hunuz

Leave a Comment