
Rajinder Manchanda Bani
sho.ala idhar udhar kabhi saaya yahin kahin
hoga vo barq-jism subuk-pa yahin kahin
kin paniyon ka zor use kaaT le gaya
dekha tha ham ne ek jazira yahin kahin
mansub jis se ho na saka koi hadsa
gum ho ke rah gaya hai vo lamha yahin kahin
avargi ka Dar na koi Dubne ka ḳhauf
sahra hi as-pas na dariya yahin kahin
vo chahta ye hoga ki main hi use bula.un
meri tarah vo phirta hai tanha yahin kahin
‘bani’ zara sambhal ke mohabbat ka moḌ kaaT
ik hadsa bhi taak men hoga yahin kahin

Leave a Reply