Kya Kijiye Raqam Sanad-e-Ehtisham-e-Zulf

kya kijiye raqam sanad-e-ehtisham-e-zulf

hai daftar-e-jamal pe tughra-e-lam-e-zulf

khidmat ho ghaza-e-gul-e-rukh ki nasim ko

mauj-e-hava chaman men kare intizam-e-zulf

fasl-e-bahar aai junun-khez dekhiye

saudaiyon ko aane lage phir payam-e-zulf

muuzi jo sar chadha to bana mar-e-astin

sar pe na chahiye tha buton ke maqam-e-zulf

sauda-e-zulf chin-e-jabin ne mita diya

taraj chiniyon ne kiya aa ke sham-e-zulf

kab husn-e-arzi pe latakti hai sub.h-o-sham

islam par hai taan se har-dam salam-e-zulf

chhut ke utha rahe hain asiran-e-dam-e-zulf

aram ab kahan dil-e-vahshi hai ram-e-zulf

balon ko apne tum rukh-e-raushan pe chhod do

phenko miyan-e-chashma-e-khurshid dam-e-zulf

taqrir kyuun na uljhi hui bar zaban rahe

hai dars men risala-e-ilm-e-kalam-e-zulf

divane ham hain gardish-e-lail-o-nahar ke

hai sub.h sub.h ru-e-pari-sham sham-e-zulf

paaya siyah-bakhti-e-ushshaq ne bhi auj

firoza-e-falak pe kiya kunda nam-e-zulf

zulfen hava se kab rukh-e-ariz pe aa gaiin

hai sabza-e-bahar ke munh men lagam-e-zulf

aae siyah-dil hain raqibon ke us pe ‘mehr’

poshish men hai abas haram-e-ehtiram-e-zulf

Leave a Comment