Palken uThin Nigah Mili Baat Ho Gai

palkeñ uThīñ nigāh milī baat ho ga.ī

donoñ taraf se pursish-e-hālāt ho ga.ī

halkī sī raushnī bhī nahīñ duur duur tak

furqat kī raat kitnī baḌī raat ho ga.ī

rāh-e-junūñ meñ be-kas-o-tanhā chalā thā maiñ

hamrāh dil ke gardish-e-hālāt ho ga.ī

ye husn-e-ittifāq ki tum aa ga.e idhar

ḳhush-qismatī ki tum se mulāqāt ho ga.ī

ye vaqt aa gayā hai mirī be-kasī kī ḳhair

har ik se pūchhtā huuñ kahāñ raat ho ga.ī

ai chashm-e-intizār ye kyā e’tibār hai

vo aa chuke aur un se mulāqāt ho ga.ī

ai ‘shauq’ us ko hāsil-e-umr-e-ravāñ samajh

vo zindagī jo nazr-e-ḳharābāt ho ga.ī

Leave a Comment