• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ai dost! Teri Aankh Jo Nam Hai To Mujhe Kya

Ai dost! Teri Aankh Jo Nam Hai To Mujhe Kya

qateel-shifai

ai dost! tiri aankh jo nam hai to mujhe kya

main khuub hansunga tujhe gham hai to mujhe kya

kya main ne kaha tha ki zamane se bhala kar

ab tu bhi sazavar-e-sitam hai to mujhe kya

haan le le qasam gar mujhe qatra bhi mila ho

tu shaki-e-arbab-e-karam hai to mujhe kya

jis dar se nadamat ke siva kuchh nahin milta

us dar pe tira sar bhi jo kham hai to mujhe kya

main ne to pukara hai mohabbat ke ufaq se

raste men tire sang-e-haram hai to mujhe kya

bhula to na hoga tujhe suqrat ka anjam

hathon men tire saghar-e-sam hai to mujhe kya

patthar na paden gar sar-e-bazar to kahna

tu motarif-e-husn-e-sanam hai to mujhe kya

main sarmad o mansur bana huun tiri khatir

ye bhi tiri ummid se kam hai to mujhe kya

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Qismat Ko Apne Likkhe Ke Tain Kaun dho Sake

ahmad-hamesh

Kis Tawaqqoa Pe Kya Utha Rakhiye

Jab Aks Mera Shor Machane Mein Lag Gaya

abdul-mannan-tarzi

Har Aan Nai Shan Hai Har Lamha Naya Hai

poet

Marka Hi Marka Chaaron Taraf

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet