tumhen ab is se ziyada saza nahin dunga
dua.en dunga magar bad-dua nahin dunga
tiri taraf se laḌunga main teri har ik jang
rahunga saath magar hausla nahin dunga
tiri zaban pe mauquf mere haath ka lams
nivala dunga magar za.iqa nahin dunga
main pahle bose se na-ashna rakhunga tumhen
phir is ke ba.ad tumhen dusra nahin dunga
phir ek baar guzar jaao mere uupar se
main is ke ba.ad tumhen rasta nahin dunga
ki tu talash kare aur main tujh ko mil ja.un
main teri aankh ko itni saza nahin dunga
bhaga.e rakkhunga apni adalaton men tumhen
tamam umr tumhen faisla nahin dunga
main us ke saath huun jo uTh ke phir khaḌa ho jaa.e
main tere shahar ko ab zalzala nahin dunga
tiri ana ke liye sirf ye saza hai bahut
tu ja raha hai to tujh ko sada nahin dunga
ki ab ki baar ‘liyaqat’ hua hua so hua
main us ke haath men ab aa.ina nahin dunga
Leave a Reply