qalb-e-hasti-e-figar dekh liya
aarzu ka mazar dekh liya
hosh gum ho ga.e zamane ke
zindagi ka ḳhumar dekh liya
lab-kusha yuun hua koi ghuncha
jaise ik abshar dekh liya
phir koi baar baar kyuun dekhe
jab tujhe ek baar dekh liya
daman-e-sabr taar taar hua
aap ka intizar dekh liya
zindagi bhi hamen ‘aziz’ nahin
aarzu ka mazar dekh liya
Leave a Reply