dil men jo aa.e achchha bura kah liya karo
tum bhi kisi se apni ḳhata kah liya karo
do ankhen ab bhi dekhti hain rasta tira
ja kar kabhi salam dua kah liya karo
badla hua hai ishq ka dastur meri jaan
har sang-dil ko jan-e-vafa kah liya karo
dilbar se dil ki baat chhupana gunah hai
jis din ho ḳhush-gavar faza kah liya karo
kyon dusron ke samne rakhte ho apni baat
sunta hai sab ki baat ḳhuda kah liya karo
maana ab apne beach kahin kuchh nahin raha
dil chahe kuchh jo kahna zara kah liya karo
‘raḳhshan’ ghazal ki aabru rakhna bhi hai kamal
sujhe jo kuchh ḳhayal naya kah liya karo
Leave a Reply