baitho yaan bhi koi pal kya hoga
ham bhi ashiq hain khalal kya hoga
dil hi ho sakta hai aur is ke baghair
jan-e-man dil ka badal kya hoga
husn ke naaz uthane ke siva
ham se aur husn-e-amal kya hoga
kal ka iqrar jo main kar ke utha
bola baith aur bhi chal kya hoga
tu jo kal aane ko kahta hai ‘nazir’
tujh ko maalum hai kal kya hoga
Leave a Reply