saare ilzam bhuul jaata huun
main to dushnam bhuul jaata huun
roz main puchhta huun tera naam
roz main naam bhuul jaata huun
dekhta huun bikharte phulon ko
apna anjam bhuul jaata huun
aisa chaska laga hai baton ka
ghar ka har kaam bhuul jaata huun
yaad karta huun us ko saara din
aur sar-e-sham bhuul jaata huun
aisa masruf kar liya ḳhud ko
aksar aram bhuul jaata huun
ḳhush tujhe dekh kar main apne bhi
gham-o-alam bhuul jaata huun
vo gali tujh pe band hai lekin
dil-e-nakam bhuul jaata huun
dekhta huun tujhe qarib se aa
main tira naam bhuul jaata huun
kyuun sitam us ke barha ‘faruq’
gam-dar-gam bhuul jaata huun
Leave a Reply