jo ḳhum par ḳhum chhalkate hain honTon ki thakan kya samjhenge
phulon men guzarti hai jin ki kanTon ki chubhan kya samjhenge
patthar ke pujari ankhon ki gahra.i ko paana kya janen
qismat pe yaqin rakhne vaale mathe ki shikan kya samjhenge
ham divane hain divane bekar sabaq dete ho hamen
ham maut ke ma.ani kiya janen ham dar-o-rasan kya samjhenge
kya dukh hai hamen kya gham hai hamen kyuun jaa.en kisi se kahne ko
kaliyon ki jau izzat kar na sake vo dard-e-chaman kya samjhenge
kyuun nahaq le kar baiTh ga.e gham-ha-e-musalsal ka qissa
vo dard ki qimat kya janen vo dil ki jalan kya samjhenge
Leave a Reply