• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Uski Jam-e-Jam Aankhen Shisha-e-Badan Mera

Uski Jam-e-Jam Aankhen Shisha-e-Badan Mera

abdullah-kamal

us ki jam-e-jam ankhen shisha-e-badan mera

us ki band mutthi men saara bankpan mera

main ne apne chehre par sab hunar sajae the

faash kar gaya mujh ko saada pairahan mera

dil bhi kho gaya shayad shahr ke sarabon men

ab miri tarah se hai dard be-vatan mera

ek dasht-e-khamoshi ab mira muqaddar hai

yaad be-sada teri zakhm be-chaman mera

aao aaj ham donon apna apna ghar chun len

tum navah-e-dil le lo khitta-e-badan mera

roz apne khvabon ka khuun karta rahta huun

haae kin ghanimon se aa pada hai ran mera

gaanv ki havaon ne phir sandesa bheja hai

muntazir tumhara hai khushbuon ka ban mera

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Har shaKHs Mein Kuchh Log Kami DhunD Rahe Hain

Hamein Apni Masafat Be-Maza Karna Nahin Hai

Sahar Ke Baad Bhi Jo Log Jagne Se Rahe

Main KHud Hun Naqd Magar Sau Udhaar Sar Par Hai

Junun-E-Ishq Ki Aamadgi Ne Kuchh Na Diya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet