dilon se arzu-e-umr-e-javedan na gai
koi nigah pas-e-gard-e-karvan na gai
vo aur chiiz hai hote hain jis se dil shadab
tiri bahar se virani-e-khizan na gai
nikal ke khuld se bhi aadmi na pachhtaya
zamin pe bhi chaman-arai-e-guman na gai
bas ek kunj-e-qafas tak na aa saki varna
saba chali to chaman men kahan kahan na gai
kahan kahan na huiin sabt husn ki mohren
kali hava men bikhar kar bhi raegan na gai
miri dua ki ye ghairat hai kitni qabil-e-dad
ki lab tak aai magar su-e-asman na gai
dayar-e-ishq khandar aur dasht-e-dil sunsan
magar ‘nadim’ ki rangini-e-bayan na gai
Leave a Reply