• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Moajaza Koi Dikhaun Bhi to Kya

Moajaza Koi Dikhaun Bhi to Kya

mo.ajaza koi dikha.un bhi to kya

chand men shahar basa.un bhi to kya

yaad aata hai barabar koi

main use yaad na aa.uun bhi to kya

rabt pahle hi nahin kam us se

rabta aur baḌha.un bhi to kya

vo na badlega ravayya apna

main agar baat nibha.un bhi to kya

jaane majbur hai kitna vo bhi

kuchh use yaad dila.un bhi to kya

mere angan men na utrega vo chand

lau sitaron se laga.un bhi to kya

log viranon pe jaan dete hain

ik nagar dil men basa.un bhi to kya

kaun ḳhatre ko karega mahsus

main agar shor macha.un bhi to kya

kaun sochega ki rona kya hai

main agar ro.uun rula.un bhi to kya

pahli baar aaj luTa huun koi

be-sada hashr uTha.un bhi to kya

main ne jo dekha hai jo socha hai

hu-ba-hu samne la.un bhi to kya

log baune hain yahan pahle bhi

aur qad apna baḌha.un bhi to kya

ek sha.er hi rahunga ‘ruhi’

bahr qatre men dikha.un bhi to kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Aisa Nahin Ki Un Se Mohabbat Nahin Mujhe

Diwanon Mein Nam Kar Raha Hun

afzal-gauhar-rao

Chup-Chap Nikal Aae The Sahra Ki Taraf Hum

Aaya Zara Si Der Raha Ghul Gaya Badan

Ru-Ba-Ru Gham Ke Ye Taqdir Kahan Se Aai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet