yaar uTh ga.e duniya se aghyar ki baari hai
gul sair-e-chaman kar ga.e ab ḳhaar ki baari hai
zahid ne ibadat chhoḌ us zulf se uljha hai
tasbih ki shaiḳhi ga.i zunnar ki baari hai
us kakul-e-mushkin ki bu hui hai pareshan aa
sab shahr-e-ḳhutan luT ga.e tatar ki baari hai
gulshan men ḳhiraman ho ab burqa uThaya hai
sab gir gaya sarvistan gulzar ki baari hai
kar zaḳhmi nigahon se ab dil pe uThaya haath
nezon ki ga.i naubat tarvar ki baari hai
dil par hain jahan ke sab baham ki kudurat se
a.inon ki saafi ga.i zangar ki baari hai
jhaḌ ga.e vo tabassum se gul ghunche khaḌe hain sarv
tamkin ne chaman luuTa raftar ki baari hai
un zulfon ke aqrab ne dil mera Dasa ‘uzlat’
pichhe paḌi hai choTi ab maar ki baari hai
Leave a Reply