• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein paDe Ho

Ojhal Hun Nigahon Se Magar Dil Mein paDe Ho

poet

ojhal huun nigahon se magar dil men paḌe ho

laila ki tarah kaun se mahmil men paḌe ho

dar-parda sahi sehr-e-nazara ke asar se

sau tarah se tum dida-e-ghafil men paḌe ho

khulne lage asrar-e-vafa dida-o-dil par

jis din se gham-e-hijr ki mushkil men paḌe ho

avargi-e-dil bhi ga.i qaid-e-vafa bhi

jis din se mohabbat ke salasil men paḌe ho

har lahza badalti hui duniya ke makino

kya janiye tum kaun si manzil men paḌe ho

kis jurm ki tazir ye kis Dhab ki saza hai

lazzat-kash-e-tanha.i ho mahfil men paḌe ho

kis tarah na fariyad ka phaila.en ye daman

tum gul ho ki har ḳhvab-e-anadil men paḌe ho

manzil ki talab saath hi sargarm-e-safar hai

dariya ho magar halqa-e-sahil men paḌe ho

har shai men nazar aata hai ḳhud apna hi chehra

a.ine ke tum jaise muqabil men paḌe ho

kahta hai ‘nadim’ aaj mujhe dida-e-bedar

tum barq ho aur ḳhirman-e-hasil men paḌe ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Abr-E-Siyah Qaus-E-Quzah Chandni Ghazal

sahir-ludhianvi

dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Qarib Se

Dur Ta-Hadd-E-Nazar Aab-E-Shajar Kuchh Bhi Nahin

Main KHud Hun Naqd Magar Sau Udhaar Sar Par Hai

Sufi

Bajan Halwa Prem Jehe Chaun Khaiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet