• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Pas-E-Sukut suKHan Ko KHabar Banaya Jae

Pas-E-Sukut suKHan Ko KHabar Banaya Jae

pas-e-sukut suḳhan ko ḳhabar banaya jaa.e

fasil-e-harf men ma.ani ka dar banaya jaa.e

hisab-e-sud-o-ziyan ho chuka bahut ab ke

vufur-e-shauq ko arz-e-hunar banaya jaa.e

lagan uḌaan ki dil men hanuz baaqi hai

kaTe paron hi ko ab shah-par banaya jaa.e

kisi paḌav pe pahunchenge jab to sochenge

abhi se kya koi zad-e-safar banaya jaa.e

faraz-e-dar pe kar ke buland aḳhir-e-shab

mire hi sar ko nishan-e-sahar banaya jaa.e

bahut tavil hua silsila raqabat ka

kabhi milo to use muḳhtasar banaya jaa.e

qadam qadam pe hai basti men vahshiyon ka hujum

chalo kahin kisi sahra men ghar banaya jaa.e

zamir-e-nau-e-bashar kab se ho chuka ruḳhsat

na.e ḳhamir se taaza bashar banaya jaa.e

mafar muhal hai qaid-e-makan se jab ‘irfan’

to kyuun na phir isi gumbad ko ghar banaya jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

An-Dekhi Aur Bholi-Bhaali Duniya Hai

Baadshah-E-Waqt Koi Aur Koi Majbur Kyun

Dard-O-Gham Ki Hikayaten Mat Puchh

Pahli Bar Wo KHat Likkha Tha

Aae Hain Ghar Mera Sajaane Dard

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet