• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Roz-E-Awwal Hi Se Tafriq Ye Auqat Mein Hai

Roz-E-Awwal Hi Se Tafriq Ye Auqat Mein Hai

roz-e-avval hi se tafriq ye auqat men hai

koi hai din ke ujale men koi raat men hai

main bhi majmua-e-azdad huun duniya ki tarah

kahin sahra kahin gulzar miri zaat men hai

hai mire gird miri maan ki duaon ka hisar

gham nahin hai koi dushman jo miri ghaat men hai

main tahi-dast huun lekin ye pata hai mujh ko

vo mire naam hai jo chiiz tire haat men hai

daman-e-shab men chamakte hain sitaron ki tarah

aks kis ka ye miri ḳhaak ke zaat men hai

tirgi ḳhauf ki pahlu men basi hai lekin

kuchh umidon ki chamak dil ke mazafat men hai

mil hi ja.egi kahin paanv Tikane ki jagah

ab sitaron ka jahan meri futuhat men hai

miri pasti pe bahut tanz na kar chashm-e-falak

us ko bhi dekh bulandi jo ḳhayalat men hai

ek hi rang men rahti hai tabi.at har dam

farq jaaḌe men na garmi men na barsat men hai

dil larazta hai pas-e-parda na ho zahr koi

kuchh ziyada hi miThas ab ke tiri baat men hai

dekhna vo bhi kahin chhuT na jaa.e ‘mahir’

jo chamakta hua ik rang rivayat men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jo Rahin-E-Taghayyuraat Nahin

Dekhte Dekhte Hi Sal Guzar Jata Hai

Koh Ke Sine Se Aab-E-Atashin Lata Koi

uThi Hai Jo Qadmon Se Wo Daman Se aDi Hai

poet

Milti Hai Nazar Un Se to Kho Jate Hain Hum Aur

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet