bulati hai magar jaane ka na.iin
vo duniya hai udhar jaane ka na.iin
zamin rakhna paḌe sar par to rakkho
chalo ho to Thahar jaane ka na.iin
hai duniya chhoḌna manzur lekin
vatan ko chhoḌ kar jaane ka na.iin
janaze hi janaze hain saḌak par
abhi mahaul mar jaane ka na.iin
sitare noch kar le ja.unga
main ḳhali haath ghar jaane ka na.iin
mire beTe kisi se ishq kar
magar had se guzar jaane ka na.iin
vo gardan napta hai naap le
magar zalim se Dar jaane ka na.iin
saḌak par arthiyan hi arthiyan hain
abhi mahaul mar jaane ka na.iin
vaba phaili hui hai har taraf
abhi mahaul mar jaane ka na.iin
Leave a Reply