• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Mujhko Kya Faeda Gar Koi Raha Mere Baad

Mujhko Kya Faeda Gar Koi Raha Mere Baad

poet

mujh ko kya faeda gar koi raha mere baad

saari makhluq bala se ho fana mere baad

mar chuka main to nahin us se mujhe kuchh hasil

barse gar paani ki ja ab-e-baqa mere baad

chahne valon ka karta hai zamana matam

matami rang men hai zulf-e-rasa mere baad

roenge mujh ko mire dost sab aath aath aansu

barsegi qabr pe ghanghor ghata mere baad

yuun hi khilti rahengi sehn-e-chaman men kaliyan

yunhi chalti rahegi bad-e-saba mere baad

jaan dene ko na un par koi tayyar hua

goya jan-baz zamane men na tha mere baad

haath se un ke tapakte nahin mai ke qatre

ashk-e-khun rota hai ye rang-e-hina mere baad

hashr tak koi na rokega sitam-garon ko

jo khuda pahle tha vo hi hai khuda mere baad

jite-ji dete the jo galiyan mujh ko ‘parvin’

maghfirat ke liye karte hain dua mere baad

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Is Riyazat Ka Meri Jaan Sila Kuchh Bhi Nahin

Nazar Nichi Hai Yar-E-KHush-Nazar Ki

Hasin Aur Us Pe KHud-Bin Wo Sitam-Gar Yun Bhi Hai Yun Bhi

Hawa Bahut Tez Chal Rahi Hai Charagh-E-Jaan Phir Bhi Jal Raha Hai

Tabibon Se Nazar Ki choT Pahchani Nahin Jati

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet