KHwar-O-Ruswa the Yahan Ahl-E-suKHan Pahle Bhi

ḳhvār-o-rusvā the yahāñ ahl-e-suḳhan pahle bhī

aisā hī kuchh thā zamāne kā chalan pahle bhī

muddatoñ ba.ad tujhe dekh ke yaad aatā hai

maiñ ne sīkhā thā lahū rone kā fan pahle bhī

dil-navāz aaj bhī hai nīm-nigāhī terī

dil-shikan thā tirā be-sāḳhta-pan pahle bhī

aaj is tarah milā tū ki lahū jaag uThā

yuuñ to aatī rahī ḳhushbu-e-badan pahle bhī

‘shāz’ vo jānegā un āñkhoñ meñ kyā kyā kuchh hai

jis ne dekhī ho un āñkhoñ kī thakan pahle bhī

Leave a Comment