• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai dil-E-Zar Likho Jaanib-E-Jaanan Kaghaz

Ai dil-E-Zar Likho Jaanib-E-Jaanan Kaghaz

poet

ai dil-e-zar likho janib-e-janan kaghaz

haal ka likhte hain fuqara su-e-sultan kaghaz

marjaa-e-gabr-o-musalman hai vo but nam-e-khuda

bhejte hain use hindu o musalman kaghaz

un ka mazmun bhi albatta huvaida hoga

ab jo aane lage us shokh ko pinhan kaghaz

haif hai subh-e-vatan se na hua varid-e-vaqt

hech gaahe ba-sar-e-sham-e-ghariban kaghaz

kisi ka bhi na javab aaya hamen ghurbat men

laakh ham likhe vatan ko su-e-yaran kaghaz

vasf afshan ka hai kis sim-badan ke likhna

kaghzi ham ko hai darkar zar-afshan kaghaz

is qadar ham ne giran kar diye likh likh ke kise

varna kis martaba the shahr men arzan kaghaz

likhte ham to khat-e-mahbub ko har dam nau-khat

likhne dete jo hamen dida-e-giryan kaghaz

mujh se divane ko kya khat vo pari-zad likhe

likhte albatta hain insan su-e-insan kaghaz

bhejta huun main kisi rashk-e-gulistan ki taraf

mera pahunchae magar murgh-e-gulistan kaghaz

bhejta huun main kisi sani-e-bilqis ke saub

mera le jaae magar murgh-e-sulaiman kaghaz

kya magar bhuul gae bais-e-jamiyyat-e-khvesh

ham ko bheje na adam se jo azizan kaghaz

kahte hain nisf mulaqat hai maktub bhi yaar

kabhi likkho to su-e-matam-e-nalan kaghaz

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Aasman Se Rabt-E-Yaqin Mahw-E-KHwab Hai

Kahin Diwar Hai to Dar Ghaeb

ahmad-faraz

Jab Bhi dil Khol Ke Roe Honge

aftab-iqbal-shamim

Wo Apne Juzw Mein Khoya Gaya Hai Is Had Tak

Yaad Ki Basti Ka Yun to Har Makan Khaali Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet