hua jo vaqf-e-gham vo dil kisi ka ho nahin sakta
tumhara ban nahin sakta hamara ho nahin sakta
suna pahle to ḳhvab-e-vasl phir irshad farmaya
tire rusva kiye se koi rusva ho nahin sakta
lagavaT us ki nazron men banavaT us ki baton men
sahara miT nahin sakta bharosa ho nahin sakta
tamanna men tiri miT jaa.e dil haan ye to mumkin hai
mire dil se miTe teri tamanna ho nahin sakta
na fursat hai na rahat hai na ‘beḳhud’ vo tabi.at hai
ghazal kya ḳhaak likkhen sher achchha ho nahin sakta
Leave a Reply