suna bhi kabhi majra dard-o-gham ka kisi dil-jale ki zabani kaho to
nikal aa.en aansu kaleja pakaḌ lo karun arz apni kahani kaho to
tumhen rang-e-mai shaiḳh marghub kya hai gulabi ho ya za.afrani kaho to
pila.e koi saqi-e-hur-paikar musaffa kashida purani kaho to
tamanna-e-didar hai hasrat-e-dil ki tum jalva-farma ho main ankhen sekun
na kah dena muusa se jaise kaha tha miri arz par lan-tarani kaho to
vafa-pesha ashiq nahin dekha tum ne mujhe dekh lo janch lo aazma lo
tumhare ishare pe qurban kar duun abhi maya-e-zindagani kaho to
kahan main kahan dastan ka taqaza mire zabt-e-dard-e-nihan ka hai kahna
phir us par ye takid bhi hai barabar na kahna purani kahani kaho to
mire nama-e-shauq ki satr men hai jagah ik jo saada vo mohmal nahin hai
main ho ja.un ḳhidmat men hazir abhi ḳhud batane ko is ke ma.ani kaho to
Leave a Reply