• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wo Mere Pas Hai Kya Pas Bulaun Usko

Wo Mere Pas Hai Kya Pas Bulaun Usko

vo mire paas hai kya paas bula.un us ko

dil men rahta hai kahan DhunDne ja.un us ko

aaj phir pahli mulaqat se aghaz karun

aaj phir duur se hi dekh ke aa.uun us ko

qaid kar luun use ankhon ke nihan-ḳhane men

chahta huun ki kisi se na mila.un us ko

use duniya ki nigahon se karun main mahfuz

vo vahan ho ki jahan dekh na pa.un us ko

chalna chahe to rakhe paanv mire siine par

baiThna chahe to ankhon pe biTha.un us ko

vo mujhe itna subuk itna subuk lagta hai

kabhi gir jaa.e to palkon se uTha.un us ko

mujhe ma.alum hai aḳhir ko juda hona hai

lekin ik baar to siine se laga.un us ko

yaad se us ki nahin ḳhali koi bhi lamha

phir bhi Darta huun kahin bhuul na ja.un us ko

mujh pe ye raaz isi ek havale se khula

baat us ki hai magar kaise bata.un us ko

ye mira dil mira dushman mira divana dil

chahta hai ki sabhi zaḳhm dikha.un us ko

aaj to dhuup men tezi hi bahut hai varna

apne saa.e se bhi ‘shahzad’ bacha.un us ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-wahab-sukhan

Azmat-e-Shahar-e-Ana Shan-e-Bashar Ki Surat

majrooh-sultanpuri

Mujhse Kaha Jibril-E-Junun Ne Ye Bhi Wahi-E-Ilahi Hai

ahmad-zafar

derina Khwahishon Se Sajaya Gaya Mujhe

Na to Be-Karani-E-Dil Rahi Na to Madd-O-Jazr-E-Talab Raha

poet

Teri Yaadon Ne Tadpaya Bahut Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet