uljhanon men kaise itminan-e-dil paida karen
bijliyon men rah ke tinkon ka bharosa kya karen
zabt aansu jab kiye to uchhla chehre par lahu
gham ki maujen rokne se rasta paida karen
kahte hain qissa zamane se yahi tashvish hai
si liye hain lab magar in ansuon ko kya karen
ham bhi bande hain hamen bhi maqdarat itni to hai
vo ḳhuda ban jaa.e jis ke samne sajda karen
taqat-e-didar zahir aur ankhon ko ye shauq
bas tumhen dekha karen dekha karen dekha karen
chahte ye hain ki rah-e-zindagi hamvar ho
sochte ye hain ki duniya ko tah-o-bala karen
bevafa suraj Dhala jaata hai chashm-e-shauq se
aur kab tak e’tibar-e-vada-e-farda karen
maslahat ka ye taqaza hai ki hansna chahiye
bazm-e-hasti men ‘saba’ kab tak gham-e-duniya karen
Leave a Reply