apna apna rang dikhlati hain jaani chudiyan
asmani arghavani zaafrani chudiyan
ik zara rang-e-nazakat bhi rahi madd-e-nazar
dhan-pan ai jaan tum ho pahno dhani chudiyan
daagh kha kha kar hazaron dil lahu ho ho gae
kal khuli pahnin jo tum ne arghavani chudiyan
haath khinche kyuun na araish se vo nazuk badan
said-e-nazuk pe karti hain girani chudiyan
ashiqon ke zakhm ro ro kar lahu hans hans paden
mehndi malti ho to pahno zaafrani chudiyan
rang mehndi ka tiri dast-e-nigaran men nahin
kar rahi hain ai pari atish-fishani chudiyan
dekhne vaale tumhare dil bachaen kis tarah
afat-e-jan tum bala-e-nagahani chudiyan
mere matam men utarin aa ke meri qabr par
de gai yuun mujh ko vo apni nishani chudiyan
chaar din araishon se haath uthana chahiye
sog men ashiq ke lazim hain badhani chudiyan
iid ko hai nazninon sehat-e-‘nazim’ ka jashn
hon nai araishen utren purani chudiyan
Leave a Reply