baaqi hai vahi shoḳhi-e-guftar abhi tak
divane pahunchte hain sar-e-dar abhi tak
sar par hai baharon ke mire ḳhuun ka sahra
aluda lahu se hain gul o ḳhaar abhi tak
azadi-e-kamil ke tasavvur men hai insan
apne hi ḳhayalon men giraftar abhi tak
gaate hain uḳhuvvat ke tarane to shab o roz
barbadi-e-alam ko hain tayyar abhi tak
begana bane laakh mohabbat se zamana
hai jins-e-garan-maya tira pyaar abhi tak
hoti hai ḳhayalon hi men tanzim chaman ki
kirdar hi badle hain na guftar abhi tak
ma.asum hai ma.asum bahut amn ki devi
qabze men liye ḳhanjar-e-ḳhun-ḳhar abhi tak
‘arif’ ye zamana to badalna hi paḌega
uTTho bhi hai is ki vahi raftar abhi tak
Leave a Reply