qubul kijiye inkar ka maqam nahin
ye jam-e-mai hai pari-vasl ka payam nahin
ajiib hai ye sarapa kamar ka naam nahin
kuchh un ki be-dahni men mujhe kalam nahin
hai kaun shaiḳh-o-barahman jo dil se raam nahin
tumhara dair se kab ta-haram ḳhiram nahin
liya jo mol zuleḳha ne mah-e-kan.an ko
kaha jamal ne sahab huun main ghulam nahin
bahak na ja.un jo pi ja.un bahr-e-mai saaqi
savari hech hai jab haath men lagam nahin
uTha le haath jafa-o-sitam se ai zalim
ḳhuda ke paas bhi is se baḌa salam nahin
safen hain jaam ki mai-ḳhana apni masjid hai
ba-juz sharab ki botal ke yaan imaam nahin
jo ek bosa-e-lab luun hazar shukr karun
tire raqib sa main bhi namak-haram nahin
main aap karti huun ḳhidmat kaha zuleḳha ne
tiri ghulami ke laa.eq koi ghulam nahin
vazifa hai tire husn-o-ada-o-ghamze ka
kisi bashar ki zaban par kisi ka naam nahin
mire gunahon ko aur kis se baḳhshva.un main
shafi.a juz tire ya sayyad-e-anam nahin
firaq men nahin piita main aab tak mai kya
ilahi banda tira sharib-e-mudam nahin
chale na jaa.e vo ghar ko usi bahane se
suna do mere janaze ko izn-e-am nahin
hujum-o-yas-o-alam dil ko mere ghere hain
ki muntazir hai jama.at magar imaam nahin
kab aane paata hai rindon men naam zahid ka
hamari bazm men bole kabab-e-ḳham nahin
na phuul jaao ‘nasim’ un ke phuul phenke par
gulon ki mehr-o-mohabbat ko kuchh qayam nahin
Leave a Reply