• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kis Karan Itne Rangon Se Yari Kis Karan Ye Dhang

Kis Karan Itne Rangon Se Yari Kis Karan Ye Dhang

kis karan itne rangon se yaari kis karan ye Dhang

jitne rang bhi chaho ziist men bhar lo maut ka ek hi rang

nam-o-numud se itni duuri Thiik hai lekin aḳhir kyuun

saare jahan se qaus-e-quzah ka rishta apne aap se jang

pal men dhajji dhajji bikharne vaali aisi hai ye ziist

ik se ziyada bachchon ke hathon men jaise kaTi patang

umr bita di apnon aur ghairon ke naqsh banane men

jab apni tasvir banana chahi phike paḌ ga.e rang

main ik likhne vaala mujh ko batana yaar ahmad-‘parvez’

lauh-o-qalam se aage bhi hai kya ye duniya itni tang

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zarra Insan Kabhi Dasht-Nagar Lagta Hai

poet

Ab Apna Haal Hum Unhen Tahrir Kar Chuke

ahmad-javed

Magar Wo diya Hi Nahin Man Kar Ke

Mujhe Mujhse Milati Ja Rahi Hai

nazeer-akbarabadi

Chah Mein Uski dil Ne Hamare Nam Ko Chhoda Nam Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet