jab dekhta huun tanha tujh ko sajan chaman men
kis kis tarah ki baten aati hain mere man men
ladke khade hain ghamgin pathre pade hain bekas
divana haae jab se jaata raha hai ban men
majnun ki khush-nasibi karti hai daagh dil ko
kya aish kar gaya hai zalim divane-pan men
is dagh-dar dil ko gaado na saath mere
darta huun mat lage uth atish mire kafan men
khuban ‘yaqin’ ko maazur ab to rakho ki is ke
lohu nahin jigar men aansu nahin nayan men
Leave a Reply