main ek buund samundar hua to kaise hua
ye mojaza mire andar hua to kaise hua
ye bhed sab pe ujagar hua to kaise hua
ki mere dil men tira ghar hua to kaise hua
na chand ne kiya raushan mujhe na suraj ne
to main jahan men munavvar hua to kaise hua
na as-pas chaman hai na gul-badan koi
hamara kamra mo.attar hua to kaise hua
zara si baat pe ik gham-gusar ke aage
main apne aape se bahar hua to kaise hua
sulagte sahra men tufan ka samna tha mujhe
ye marka jo hua sar hua to kaise hua
vo jang haar ke mujh se ye puchhta hai ki main
baghair tegh muzaffar hua to kaise hua
suna hai amn-paraston ka vo ilaqa hai
vahin shikar kabutar hua to kaise hua
Leave a Reply