jo us be-rahm par apna dil-e-ḳhana-ḳharab aaya
ga.e sabr-o-tahammul hosh-o-taqat iztirab aaya
hava badli ghaTa chha.i vo barish ka sahab aaya
magar ab tak na ai pir-e-mughan daur-e-sharab aaya
sar-e-mahshar vo yar-e-sho.ala-ru jab be-naqab aaya
to ahl-e-hashr chiḳh uTThe zamin par aftab aaya
sar-e-mahfil adu se vasl ka iqrar karna tha
tumhen kuchh bhi haya aa.i tumhen kuchh bhi hijab aaya
shab-e-furqat kisi ne bhi na mujh nakam ko puchha
na tum aa.e na maut aa.i na sabr aaya na ḳhvab aaya
jafa-ju sang-dil be-rahm hai va.ada-shikan hai vo
tu aaya bhi to kis par ai dil-e-ḳhana-ḳharab aaya
ghazab hai yaar ne sar kaaT kar bheja hai qasid ka
javab aaya hamare naame ka to ye javab aaya
hui tauba bhi TukḌe TukḌe misl-e-saghar-o-mina
hamare samne ai shaiḳh jab daur-e-sharab aaya
jo chhu li zulf-e-pur-ḳham main ne barham ho ga.e mujh se
hansi ki baat thi sahab magar tum ko itaab aaya
khula sab haal ham par is jahan ki be-sabati ka
miTa sat.h-e-samandar par ubhar kar jo habab aaya
abhi tak hai vahi ghaflat safedi balon par aa.i
uTho bahr-e-ḳhuda ‘sabir’ ki sar par aftab aaya
Leave a Reply