gar isi tarah saj banaiyega
mahshar abad kar dikhaiyega
umr vaadon hi men ganvaiyega
aiyega bhi ya na aiyega
mehrban qadar janiye meri
mujh sa mukhlis kahin na paiyega
yahi qamat hai gar yahi raftar
hashr barpa hi kar dikhaiyega
yahi rona agar hai ai ankhiyon
khan-e-marduman dubaiyega
mah-ruyan kahan talak ham ko
atish-e-hijr men jalaiyega
zabt-e-girya na hovega juun shama
soz-e-dil gar tumhen sunaiyega
husn jaata hai khat ki aamad hai
haan hamen kyuun na ab manaiyega
mughtanim jaano ham se mukhlis ko
dhundiyega to phir na paiyega
ye na hoga ki yaan se uth javen
aisi sau baten gar sunaiyega
ek do kya hazar se bhi ham
nahin darte agar bulaiyega
aaj jo ho so ho yahi hai azm
tum ko har tarah le ke jaiyega
jis ne ‘bedar’ dil liya mera
ek din tujh ko bhi dikhaiyega
Leave a Reply