zindagi ka maza nahin milta
but mile to ḳhuda nahin milta
manzil-e-aḳhiri hai qabr miri
ab koi rasta nahin milta
ḳhugar-e-zulm ho gaya aisa
mujh ko lutf-e-vafa nahin milta
nigah-e-yas se kise dekhun
dil-e-dard-ashna nahin milta
baat itni na umr bhar samjhe
kya mila aur kya nahin milta
jis ko ‘javed’ us ne khoya hai
usi dil ka pata nahin milta
Leave a Reply